tum apna ranj-o- apni pareshaani mujhe de do
tumhein ki quasam is dil ki weeraani mujhe de do
ye maana main kisi quabil nahi hoon in nigaahon mein
bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhe de do
main dekhoon toh sahi duniyaa tumhein kaise sataati hai
koi din ke liye apni nigahbaani mujhe de do
wo dil jo main ne maanga tha magar ghairon ne paaya hai
badi shay hai agar us ki pashemaani mujhe de do
Responses
No comments yet. Be the first to respond.