tarab-zaaron pe kya beeti sanam-khaanon pe kya guzri
-e-zinda tire marhoom armaanon pe kya guzri
zamin ne khoon ugla aasman ne barsaai
jab insaanon ke dil badle toh insaanon pe kya guzri
hamein ye fikr un ki anjuman kis haal mein hogi
unhein ye gham ki un se chhut ke deewaanon pe kya guzri
mira ilhaad toh khair ek laanat tha so hai ab tak
magar is aalam-e-wahshat mein imaanon pe kya guzri
ye manzar kaun sa manzar hai pahchaana nahi jaata
siyah-khaanon se kuchh poochho shabistaanon pe kya guzri
chalo wo kufr ke ghar se salaamat aa gae lekin
khuda ki mumlikat mein sokhta-jaanon pe kya guzri
Responses
No comments yet. Be the first to respond.