saza ka haal sunaaein jaza ki baat karein
mila ho jinhein wo khuda ki baat karein
unhein pata bhi chale aur wo khafa bhi na hon
is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karein
hamare ahad ki tahzeeb mein quaba hi nahi
agar quaba ho toh band-e-quaba ki baat karein
har ek daur ka mazhab naya laaya
karein toh ham bhi magar kis khuda ki baat karein
wafa-shiaar kai hain koi hasin bhi toh ho
chalo phir aaj usi bewfa ki baat karein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.