sansaar se bhaage phirte ho bhagwaan ko tum kya paaoge
is lok ko bhi apna na sake us lok mein bhi pachhtaaoge
ye paap hai kya ye pun hai kya reeton par dharm ki mohrein hain
har yug mein badalte dharmon ko kaise aadarsh banaaoge
ye bhog bhi ek tapasya hai tum tyaag ke maare kya jaano
apmaan rachiyta ka hoga rachna ko agar thukraaoge
ham kahte hain ye jag apna hai tum kahte ho jhoota sapna hai
ham janam bita kar jaaenge tum janam ganwa kar jaaoge
Responses
No comments yet. Be the first to respond.