sadiyon se insaan ye sunta aaya hai
dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai
ham ko in sasti khushiyon ka lobh na do
ham ne soch samajh kar apnaaya hai
jhoot toh quatil thahra is ka kya rona
sach ne bhi insan ka khoon bahaaya hai
paidaaish ke din se ki zad mein hain
is maqtal mein kaun hamein le aaya hai
awwal awwal jis dil ne barbaad kiya
aakhir aakhir wo dil hi kaam aaya hai
itne din ehsaan kiya deewaanon par
jitne din logon ne saath nibhaaya hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.