mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne
zamaane ab toh khush ho ye bhi pi liya main ne
abhi zinda hoon lekin sochta rahta hoon khalwat mein
ki ab tak kis tamannaa ke sahaare ji liya main ne
unhein apna nahi sakta magar itna bhi kya kam hai
ki kuchh muddat hasin khwaabon mein kho kar ji liya main ne
bas ab toh daaman-e- chhod do bekaar ummeedo
bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne
Responses
No comments yet. Be the first to respond.