har quadam marahla-daar-o-saleeb aaj bhi hai
jo kabhi tha wahi insan ka aaj bhi hai
jagamgaate hain ufuque par ye sitaare lekin
raasta -e-hasti ka muheeb aaj bhi hai
sar-e-maqtal jinhein jaana tha wo ja bhi pahunche
sar-e-mimbar koi mohtaat khateeb aaj bhi hai
ahal-e-daanish ne jise amr-e-musallam maana
ahal-e-dil ke liye wo baat ajeeb aaj bhi hai
ye tiri yaad hai yaa meri aziyat-koshi
ek nashtar sa rag-e-jan ke quareeb aaj bhi hai
kaun jaane ye tira shaayar-e-aashufta-mizaaj
kitne maghroor khudaaon ka raqueeb aaj bhi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.