dekha toh tha yoonhi kisi ghaflat-shiaar ne
deewaana kar diya -e-be-ikhtiyaar ne
ai aarzoo ke dhundale kharaabo jawaab do
phir kis ki aai thi mujh ko pukaarne
tujh ko khabar nahi magar ik saada-lauh ko
barbaad kar diya tire do din ke pyar ne
main aur tum se tark-e-mohabbat ki aarzoo
deewaana kar diya hai gham-e-rozgaar ne
ab ai dil-e-tabaah tira kya khayaal hai
ham toh chale the kaakul-e-geeti sanwaarne
Responses
No comments yet. Be the first to respond.