bhoole se mohabbat kar baithaa, naadan tha bechaaraa, hi toh hai
har se khata ho jaati hai, bigdo na khudaaraa, dil hi toh hai
is tarah nigaahein mat phero, aisa na ho dhadkan ruk jaae
seene mein koi patthar toh nahi ehsaas ka maaraa, dil hi toh hai
jazbaat bhi hindoo hote hain chaahat bhi musalman hoti hai
duniyaa ka ishaara tha lekin samjha na ishaaraa, dil hi toh hai
bedaad-garon ki thokar se sab khawaab suhaane choor hue
ab dil ka sahaara gham hi toh hai ab gham ka sahaara dil hi toh hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.