aquaed waham hain mazhab khayaal-e-khaam hai saaqui
azal se zehan-e-insan basta-e-auhaam hai saaqui
haqueeqat-aashnaai asl mein gum-karda raahi hai
uroos-e-aaghi parwurda-e-ibhaam hai saaqui
mubaarak ho zaeefi ko khirad ki falasfa-raani
jawaani be-niyaaz-e-ibrat-e-anjaam hai saaqui
hawas hogi aseer-e-halqua-e-nek-o-bad-e-aalam
mohabbat maawra-e-fikr-e-nang-o-naam hai saaqui
abhi tak raaste ke pech-o-kham se dhadakta hai
mira zauque-e-talab shaayad abhi tak khaam hai saaqui
wahan bheja gaya hoon chaak karne parda-e- ko
jahan har subh ke daaman pe aks-e-shaam hai saaqui
mire saaghar mein mai hai aur tire haathon mein barbat hai
watan ki sar-zamin mein bhook se kohraam hai saaqui
zamaana barsar-e-paikaar hai pur-haul sholon se
tire lab par abhi tak naghma-e-khayyaam hai saaqui
Responses
No comments yet. Be the first to respond.