ahal-e- aur bhi hain ahal-e-wafa aur bhi hain
ek ham hi nahi duniyaa se khafa aur bhi hain
ham pe hi khatm nahi maslak-e-shoreeda-sari
chaak-e- aur bhi hain chaak-e-quaba aur bhi hain
kya hua gar mire yaaron ki zabaanein chup hain
mere shaahid mire yaaron ke siwa aur bhi hain
sar salaamat hai toh kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqui hai toh paikaan-e-quaza aur bhi hain
munsif-e-shahar ki wahdat pe na harf aa jaae
log kahte hain ki arbaab-e-jafa aur bhi hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.