tu aashna-e-jazba-e-ulfat nahi raha
mein tire wo zauque-e-mohabbat nahi raha
phir naghma-ha-e-qum toh faza mein hain goonjate
tu hi hareef-e-zauque-e-samaaat nahi raha
aain kahan se aankh mein aatish-chikaaniyan
aashna-e-soz-e-mohabbat nahi raha
gul-ha-e-husn-e-yaar mein daaman-kash-e-nazar
main ab harees-e-gulshan-e-jannat nahi raha
shaayad junoon hai maail-e-farzaangi mira
main wo nahi wo aalam-e-wahshat nahi raha
mamnoon hoon main tera bahut marg-e-naa-gahan
main ab aseer-e-gardish-e-quismat nahi raha
jalwaagah-e-khayaal mein wo aa gae hain aaj
lo main raheen-e-zahmat-e-khalwat nahi raha
kya faaeda hai daawa-e-ishq-e-husain se
sar mein agar wo shauque-e-shahaadat nahi raha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.