tire karam se khudaai mein yoon toh kya na mila
magar jo tu na mila zeest ka mazaa na mila
hayaat-e-shauque ki ye garmiyan kahan hotin
ka shukr hamein naala-e-rasa na mila
azal se fitrat-e-aazaad hi thi aawaara
ye kyoon kahein ki hamein koi rahnuma na mila
ye kaaenaat kisi ka ghubaar-e- sahi
daleel-e-raah jo banta wo naqsh-e-pa na mila
ye dil shaheed-e-fareb-nigaah ho na saka
wo laakh ham se b-andaaz-e-maharmaana mila
kanaar-e-mauj mein marna toh ham ko aata hai
nishaan-e-saahil-e-ulfat mila mila na mila
tiri talaash hi thi maaya-e-baqua-e-wajood
bala se ham ko sar-e-manzil-e-baqua na mila
Responses
No comments yet. Be the first to respond.