yoon toh na tere jism mein hain zeenhaar haath
dene ke ai kareem magar hain hazaar haath
angadaaiyon mein phailte hain baar baar haath
sheesha ki samt badhte hain be-ikhtiyaar haath
doobe hain tark-e-sai se afsos toh ye hai
tha haath bhar pe lagaate jo chaar haath
aati hai jab naseem toh kahti hai mauj-e-bahar
yoon aabroo samet agar hon hazaar haath
darpay hain mere quatl ke ahbaab aur main
khush hoon ki mere khoon mein rangate hain yaar haath
daaman-kashan chali hai badan se nikal ke rooh
khinchate hain phailte hain jo yoon baar baar haath
mitta nahi nawishta-e-quismat kisi tarah
patthar se sar ko phod ki zaanoo pe maar haath
saaqui sambhaalna ki hai labrez jaam-e-mai
laghzish hai mere paanw mein aur raasha-daar haath
mutrib se poochh masaala-e-jabr-o-ikhtiyaar
kya taal sam pe uthte hain be-ikhtiyaar haath
main aur hoon alaaek-e-duniyaa ke daam mein
mera na ek haath na us ke hazaar haath
ai nazm wasl mein bhi raha tu na chain se
ko hua quaraar toh hai be-quaraar haath
Responses
No comments yet. Be the first to respond.