yoon main seedha gaya wahshat mein bayaaban ki taraf
haath jis tarah se aata hai gareban ki taraf
baithe baithe -e-gham-gin ko ye kya lahar aai
uth ke toofaan chala deeda-e-giryan ki taraf
dekhna laala-e-khud-rau ka lahakna saaqui
koh se daud gai bayaaban ki taraf
ro diya dekh ke aksar main bahaar-e-shabnam
hans diya dekh ke aksar gul-e-khandan ki taraf
baat chhupti nahi padti hain nigaahein sab ki
us ke daaman ki taraf mere gareban ki taraf
saikdon daagh-e-gunah dho gae rahmat se tiri
kya ghata jhoom ke aai thi gulistan ki taraf
chashm-e-aaeena pareshan-nazri seekh gai
dekhta tha ye bahut zulf-e-pareshan ki taraf
sar jhukaae hue hai nazm basaan-e-khaama
samt sajde ki hai teri khat-e-farman ki taraf
Responses
No comments yet. Be the first to respond.