ye aah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho
na ho jab hi yaarab toh dil kya ho jigar kya ho
baghal-geer aarzoo se hain muraadein aarzoo mujh se
yahan is waqt toh ik id hai tum jalwa-gar kya ho
muqaddar mein ye likkha hai kategi umr mar-mar kar
abhi se mar gae ham dekhiye ab umr bhar kya ho
murawwat se ho begaana wafa se door ho koson
ye hai naaznin ho khoobsurat ho magar kya ho
laga kar zakhm mein taanke quaza teri na aa jaae
jo wo saffaak sun paae bata ai chaara-gar kya ho
quayaamat ke bakhede pad gae aate hi duniyaa mein
ye maana ham ne mar jaana toh mumkin hai magar kya ho
kaha main ne ki nazm-e-mubtala marta hai hasrat mein
kaha us ne agar mar jaae toh mera zarar kya ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.