uda kar kaag sheeshe se mai-e-gul-goon nikalti hai
sharaabi jama hain maikhaana mein topi uchhalti hai
bahaar-e-mai-kashi aai ki rut badalti hai
ghata mastaana uthti hai hawa mastaana chalti hai
z-khud-rafta tabeeat kab sambhaale se sambhalti hai
na ban aati hai naaseh se na kuchh waaiz ki chalti hai
ye kis ki hai tamannaa chutkiyan leti hai jo mein
ye kis ki aarzoo hai jo kaleje ko masalti hai
wo deewaana hai jo is fasl mein fasdein na khulwaae
rag-e-har-shaakh-e-gul se khoon ki naddi ubalti hai
sahar hote hi dam nikla ghash aate hi ajal aai
kahan hoon main naseem-e-subh pankha kis ko jhalti hai
tamatto ek ka hai ek ke nuqusan se aalam mein
ki saaya phailta jaata hai joon joon dhoop dhalti hai
bina rakkhi hai gham par zeest ki ye ho gaya saabit
na lapka aah ka chhootega jab tak saans chalti hai
quaraar ik dam nahi aata hai khoon-e-be-gunah pi kar
ki ab toh khud b-khud talwaar rah rah kar ugalti hai
jahannam ki na aanch aaegi mai-khwaaron pe o waaiz
sharaab aalooda ho jo shay wo kab aatish mein jalti hai
na dikhlaana ilaahi ek aafat hai shab-e-furqat
na jo kaate se katti hai na jo taale se talti hai
ye achchha shughl wahshat mein nikaala tu ne ai haidar
gareban mein ulajhne se tabeeat toh bahalti hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.