tanha nahi hoon gar -e-deewaana saath hai
wo harza-gard hoon ki pari-khana saath hai
hangaama ik pari ki sawaari ka dekhna
kya dhoom hai ki saikdon saath hai
dil mein hain laakh tarah ke heele bhare hue
phir mashawra ko aaeena o shaana saath hai
roz-e-siyah mein saath koi de toh jaaniye
jab tak farogh-e-shama hai parwaana saath hai
deta nahi hai saath tahi-dast ka koi
jab tak ki mai hai sheeshe mein paimaana saath hai
seekha hoon mai-kade mein tareeque-e-farotni
jab tak ki sar hai sajda-e-shukraana saath hai
jo be-basar hain dhoondate phirte hain door door
aur har quadam pe jalwa-e-jaanaana saath hai
kya khauf ho hamein zan-e-duniyaa ke makr ka
apni madad ko himmat-e-mardaana saath hai
gham ki kitaab se dil-e-sad-paara kam nahi
jis bazm mein gae yahi afsaana saath hai
maanind-e-gard-baad hoon khana-b-dosh main
sahra mein hoon magar mira kaashaana saath hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.