subha hai zunnaar kyoon kaisi kahi
zaahid-e-ayyaar kyoon kaisi kahi
kat gae aghyaar kyoon kaisi kahi
chha gai har baar kyoon kaisi kahi
hain ye sab iquraar jhoote yaa nahi
keejiye iquraar kyoon kaisi kahi
roothne se aap ka matlab ye hai
is ko aae pyar kyoon kaisi kahi
kah diya main ne hai jhoot-moot
ho gae bedaar kyoon kaisi kahi
ek toh kahte hain sadha bhaptiyan
aur phir israar kyoon kaisi kahi
naaseha ye bahas deewaanon ke saath
aql ki hai maar kyoon kaisi kahi
yaa khafa the yaa zara si baat par
ho gai bauchhaar kyoon kaisi kahi
mujh se baiat kar le tu bhi waaiza
haath laana yaar kyoon kaisi kahi
surma de kar ke lene ka hai quasd
aankh toh kar chaar kyoon kaisi kahi
jaan de de chal ke dar par yaar ke
o dil-e-beemaar kyoon kaisi kahi
kya hi bigde ho patte ki baat par
ho gae bezaar kyoon kaisi kahi
ab toh haidar aur hi kuchh rang hain
maanta hoon yaar kyoon kaisi kahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.