pursish jo hogi tujh se jallaad kya karega
le khoon main ne bakhsha tu kya karega
hoon daam mein pur-afshan aur saadgi se hairan
kyoon tez ki hain chhuriyan sayyaad kya karega
zaalim ye soch kar ab deta hai bosa-e-lab
jab hont si diye phir fariyaad kya karega
zanjeer taar-e-daaman hai tauque ik gareban
zor-e-junoon na kam ho haddaad kya karega
ham doob kar marenge hasrat rahegi tujh ko
jab hi na hogi barbaad kya karega
yaaquoob quata kar dein ummeed-e-wasl dil se
yoosuf sa bandaa koi aazaad kya karega
dil le ke poochhta hai tu kis ka shefta hai
bhoola abhi se zaalim phir yaad kya karega
ai khatt-e-byaaz aariz darkaar hai jo tujh ko
tahreer husn ki kuchh roodaad kya karega
kunj-e-quafas se ik din hogi rihaai apni
mar jaaenge toh aakhir sayyaad kiya karega
misl-e-sipand dil hai betaab soz-e-gham mein
rah jaaega tadap kar fariyaad kya karega
ai shaikh bhar gaya hai kyoon waaz ki hawa mein
reesh-e-safed apni barbaad kya karega
zulm-o-sitam se bhi ab zaalim ne haath kheencha
is se sitam wo badh kar ijaad kya karega
az-bas-ki be-hunar hoon main nang-e-motriz hoon
mazmoon pe mere koi iraad kya karega
ai nazm jis ko chaahe wo de bahisht dozakh
namrood kya karega shaddaad kya karega
Responses
No comments yet. Be the first to respond.