phiri hui miri aankhein hain tegh-zan ki taraf
chala hai chhod ke bismil mujhe hiran ki taraf
banaaya tod ke aaeena aaeena-khana
na dekhi jo khalwat se anjuman ki taraf
rah-e-wafa ko na chhoda wo andaleeb hoon main
chhuta quafas se toh parwaaz ki ki taraf
gurez chahiye tool-e-amal se saalik ko
suna hai raah ye jaati hai raahzan ki taraf
sara-e-dahar mein sooge ghaafilo kab tak
utho toh kya tumhein jaana nahi watan ki taraf
jo ahal-e-dil hain alag hain wo ahal-e-zaahir se
na main hoon shaikh ki jaanib na barahman ki taraf
jahaan-e-haadsa-aageen mein bashar ka warood
guzar habaab ka dariya-e-maujzan ki taraf
isi umeed pe ham din khizan ke kaatte hain
kabhi toh baad-e-bahaar aaegi chaman ki taraf
bichhad ke tujh se mujhe hai umeed milne ki
suna hai rooh ko aana hai phir badan ki taraf
gawaah kaun mire quatl ka ho mahshar mein
abhi se saara zamaana hai tegh-zan ki taraf
khabar di uth ke quayaamat ne us ke aane ki
khuda hi khair kare rukh hai anjuman ki taraf
wo apne rukh ki sabaahat ko aap dekhte hain
jhuke hue gul-e-nargis hain yaasman ki taraf
tamaam bazm hai kya mahaw us ki baaton mein
nazar dahan ki taraf kaan hai sukhan ki taraf
aseer ho gaya dil gesuon mein khoob hua
chala tha doob ke marne chah-e-zaqan ki taraf
ye mai-kashon ki ada abr-e-tar bhi seekh gae
kinaar-e-joo se jo uththe chale chaman ki taraf
zahe-naseeb jo ho karbala ki maut ai nazm
ki ud ke khaak-e-shifa aae khud kafan ki taraf
Responses
No comments yet. Be the first to respond.