nadaamat hai bana kar is mein aashiyan mujh ko
mila hamdam yahan koi na koi ham-zaban mujh ko
dikhaae ja rawaani tausan-e-umr-e-rawan mujh ko
hilaal-e-barque se rakh ham-rikaab-o-ham-inan mujh ko
banaaya naa-tawaani ne sulaimaan-e-zaman mujh ko
uda kar le chale mauj-e-naseem-e-bostan mujh ko
dam-e-subh-e-azal se main nawa-sanjon mein hoon tere
bataaya -e-sidra ne andaaz-e-fughan mujh ko
miri baaton mein kya maaloom kab soe wo kab jaage
sire se is liye kahni padi phir daastan mujh ko
baha kar quafila se door jism-e-zaar ko phenka
ki mauj-e-sail thi baang-e-dara-e-kaarwan mujh ko
ye dil ki be-quaraari khaak ho kar bhi na jaaegi
sunaati hai lab-e-saahil se ye reg-e-rawan mujh ko
udaai khaak jis sahra mein tere waaste main ne
thaka-maanda mila in manzilon mein aasman mujh ko
tasawwur shama ka jis ko jila de hoon wo parwaana
lag utthi aag dil mein jab nazar aaya dhuan mujh ko
wo jis aalam mein ja pahuncha wahan main kis tarah jaaoon
hua dil aap se baahar pinha kar bediyan mujh ko
ghubaar-e-raah se ai nazm ye aawaaz aati hai
gai ai umr-e-rafta tu kidhar phenka kahan mujh ko
Responses
No comments yet. Be the first to respond.