mujh ko samjho yaadgaar-e-raftagaan-e-lakhnaoo
hoon quad-e-aadam -e-kaarwaan-e-lakhnaoo
khoon-e-hasrat kah raha hai daastaan-e-lakhnaoo
rah gaya hai ab yahi rangin-bayaan-e-lakhnaoo
gosh-e-ibrat se sune koi miri fariyaad hai
-e-khoonin nawa-e-bostaan-e-lakhnaoo
mere har aansoo mein ik aaeena-e-tasweer hai
mere har naale mein hai tarz-e-fughaan-e-lakhnaoo
dhoondhata hai ab kise le kar charaagh-e-aaftaab
kyoon mitaaya ai falak tu ne nishaan-e-lakhnaoo
lakhnaoo jin se ibaarat thi hue wo naapdeed
hai nishaan-e-lakhnaoo baaqui na shaan-e-lakhnaoo
ab nazar aata nahi wo majma-e-ahal-e-kamaal
kha gae un ko zameen-o-aasmaan-e-lakhnaoo
pahle tha ahal-e-zaban ka daur ab gardish mein hain
chahiye thi tegh-e-urdoo ko fasaan-e-lakhnaoo
marsiya-go kitne yakta-e-zamaana the yahan
koi toh itnon mein hota nauha-khwaan-e-lakhnaoo
ye ghubaar-e-naa-taawan khaakistar-e-parwaana hai
khaandaan apna tha sham-e-doodmaan-e-lakhnaoo
chalta tha jab ghutniyon apne yahan tifl-e-razeea
sajda karte the use gardan-kushaan-e-lakhnaoo
ahad-e-peeraana-sari mein kyoon na sheerin ho sukhan
bachapne mein main ne choosi hai zabaan-e-lakhnaoo
gulshan-e-firdaus par kya naaz hai rizwan tujhe
poochh us ke dil se jo hai rutba-daan-e-lakhnaoo
boo-e-uns aati hai haidar khaak-e-matiya-burj se
jama hain ik ja watan-aawaargaan-e-lakhnaoo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.