kya kaarwaan-e-hasti guzra rawa-rawi mein
farda ko main ne dekha gard-o--e-di mein
the mahaw laala-o- kis kaif-e-be-khudi mein
zakhm-e-jigar ke taanke toote hansi hansi mein
yaaraan-e-bazm-e-ishrat dhoondoon kahan main tum ko
taaron ki chhaanw mein yaa pichhle ki chaandani mein
har uqda mein jahan ke posheeda hai kashaakash
hai mauj-e-khanda-e-gul pinhan kali kali mein
zakhmon mein khud chamak hai aur us pe ye sitam hai
rang-e-pareeda se main rahta hoon chaandani mein
ham kis shumaar mein the pursish jo ham se hoti
ye imtiyaaz paaya aashob-e-aaghi mein
hukm-e-quaza ho jaisa sarzad ho feal waisa
bandaa ka dakhl bhi hai phir is kahi badi mein
raftaar-e-saaya ko hai past-o-buland yaksan
thokar kabhi na khaae raah-e-farotni mein
wajd aa gaya falak ko ghash aa gaya zamin ko
do tarah ke asar the ik saut-e-saramdi mein
taabeer us ki shaayad ek waapsin nafas ho
jo khawaab dekhte the ham saari zindagi mein
laai hubaab tak ko sail-e-fanaa baha kar
ik aah kheenchane ko ik dam ki zindagi mein
mahshar ki aafton ka dhadka nahi raha ab
sau hashr main ne dekhe do din ki zindagi mein
pahloo mein tu ho ai dil phir hasartein hazaaron
kis baat ki kami hai teri salaamti mein
pursaan-e-haal wo ho aur saamne bula kar
kya jaaniye zaban se kya nikle be-khudi mein
tu ek zill-e-hasti phir kaisi khud-parasti
saaya ki parawrish hai daamaan-e-be-khudi mein
haael bas ik nafas hai mahshar mein aur ham mein
parda habaab ka hai farda mein aur di mein
aankhein dikha rahi hai din se mujhe shab-e-gham
aasaar teergi ke hain din ki raushani mein
tu ne toh apne dar se mujh ko utha diya hai
parchhaain phir rahi hai meri usi gali mein
sajda ka hukm mujh ko tu ne toh ab diya hai
pahle hi likh chuka hoon main khatt-e-bandagi mein
ai nazm chhed kar ham tujh ko hue pasheman
kya jaante the zaalim ro dega dil-lagi mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.