koi mai de yaa na de ham rind-e-be-parwa hain aap
saaquiya apni baghal mein sheesha-e-sahba hain aap
ghaafil o hoshyaar wo timsaal-e-yak-aaeena hain
warta-e-hairat mein naadan aap hain daana hain aap
kyoon rahe meri minnat-kash-e-baal-e-malak
naala-e-mastaana mere aasman-paima hain aap
hai taajjub khizr ko aur aab-e-haiwan ki talab
aur phir uzlat-guzeen-e-daaman-e-sahra hain aap
-e-tool-e-amal darpesh aur mohlat hai kam
raah kis se poochhiye hairat mein naqsh-e-pa hain aap
haque se taalib deed ke hon ham baseer aise nahi
ham ko jo kotah-nazar samjhein wo naa-beena hain aap
gul hama-tan-zakhm hain phir bhi hama-tan-gosh hain
be-asar kuchh naala-ha-e-bulbul-e-shaida hain aap
hirs se shikwa karoon kya haath phailaane ka main
kahti hai wo apne haathon khalque mein ruswa hain aap
ham se ai ahal-e-tanaaum munh chhupaana chahiye
dam bhara karte hain ham aur aaina-seema hain aap
Responses
No comments yet. Be the first to respond.