kis liye phirte hain ye shams o quamar donon saath
kis ko ye dhoondate hain barahna-sar donon saath
kaisi yaa-rab ye hawa subh-e--e-wasl chali
bujh gaya mira aur sham-e-sahar donon saath
baad mere na raha ishq ki manzil ka nishan
mit gae raah-rau o raahguzar donon saath
ai junoon dekh isi sahra mein akela hoon main
rahte jis dasht mein hain khauf-o-khatar donon saath
mujh ko hairat hai shab-e-aish ki kotaahi par
yaa khuda aae the kya shaam-o-sahar donon saath
us ne pheri nigah-e-naaz ye maaloom hua
khinch gaya seene se teer aur jigar donon saath
gham ko di dil ne jagah dil ko jagah pahloo ne
ek goshe mein karenge ye basar donon saath
is ko rokoon main ilaahi ki sambhaaloon us ko
ki tadapne lage dil aur jigar donon saath
naaz badhta gaya badhte gae joon joon gesoo
balki lene lage ab zulf o kamar donon saath
tujh se matlab hai nahi duniyaa o uqba se gharaz
tu nahi jab toh ujad jaaein ye ghar donon saath
baat sunna na kisi chaahne waale ki kabhi
kaan mein phoonk rahe hain ye guhar donon saath
aandhiyan aah ki bhi ashk ka sailaab bhi hai
dete hain dil ki kharaabi ki khabar donon saath
kya kahoon zohra o khursheed ka aalam ai nazm
nikle khalwat se joonhi waqt-e-sahar donon saath
Responses
No comments yet. Be the first to respond.