junoon ke walawle jab ghut gae mein nihan ho kar
toh utthe hain dhuan ho kar gire hain bijliyan ho kar
kuchh aage badh chale saamaan-e-raahat la-makan ho kar
falak peechhe raha jaata hai gard-e-kaarwan ho kar
kisi din toh chale ai aasman baad-e-muraad aisi
ki utrein kashti-e-mai par ghataaein baadban ho kar
na jaane kis bayaaban marg ne mitti nahi paai
bagoole ja rahe hain kaarwan-dar-kaarwan ho kar
wafoor-e-zabt se betaabi-e- badh nahi sakti
gale tak aa ke rah jaate hain naale hichkiyan ho kar
guloo-geer ab toh aisa inqalaab-e-rang-e-aalam hai
ki naghme nikle minquar-e-anaadil se fughan ho kar
jo ho kar abr se maayoos khud seenche kabhi dahquan
jala dein khet ko paani ki lahrein bijliyan ho kar
jahan mein waashud-e-khaatir ke saaman ho gae laashe
jagah raahat ki naa-mumkin hui hai la-makan ho kar
hanse koi na bijli ke siwa is daar-e-maatam mein
agar rah jaae saara khet kisht-e-zaafran ho kar
alam mein aashiyan ke is quadar tinke chune main ne
ki aakhir baais-e-taskin hue hain aashiyan ho kar
ghataaein ghir ke kya kya hasrat-e-farhaad par roin
chaman tak aa gain nahrein pahaadon se rawan ho kar
dil-e-shaida ne paaya ishq mein meraaj ka rutba
yahan aksar buton ke zulm toote aasman ho kar
jo darte darte dil se ek harf-e-shauque nikla tha
wo us ke saamne aaya zaban par daastan ho kar
nikal aae hain har iquraar mein inkaar ke pahloo
bana deti hain hairan teri baatein makr yan ho kar
nazaakat ka ye aalam phool bhi tode toh bal kha kar
na jaane dil mira kis tarah toda pahalwan ho kar
tadarrau-o-kabak par hans kar uththe khud ladakhdaate hain
subuk karte hain un ko paaenche baar-e-giran ho kar
gala ghonta hai zabt-e-gham ne kuchh aisa ki mushkil hai
ki nikle munh se aawaaz-e-shikast-e-dil fughan ho kar
pata andesha-e-saalik ne paaya manzil-e-dil ka
tu palta la-makan se aasman-dar-aasman ho kar
hui phir dekhiye aa bustan-e-shaadi-o-gham duniyaa
abhi paida hue the ranj-o-raahat toh aman ho kar
jo nikli hogi koi aarzoo toh ye bhi niklega
tumhaara teer-e-hasrat ban gaya dil mein nihan ho kar
utar jaaega tu o aaftaab-e-husn kothe se
girega saaya-e-deewar ham par aasman ho kar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.