ehsaan le na himmat-e-mardaana chhod kar
rasta bhi chal tu sabza-e-begaana chhod kar
marne ke baad phir nahi koi shareek-e-haal
jaata hai sham-e-kushta ko chhod kar
honton pe aaj tak hain -e-aish ke maze
saaqui ka lab liya lab-e-paimaana chhod kar
afai nahi khuli hui zulfon ka aks hai
jaate kahan ho aaeena o shaana chhod kar
tool-e-amal pe dil na lagaana ki ahal-e-bazm
jaaenge naa-tamaam ye afsaana chhod kar
labrez jaam-e-umr hua aa gai ajal
lo uth gae bhara hua paimaana chhod kar
us peer-zaal-e-dahar ki ham thokron mein hain
jab se gai hai himmat-e-mardaana chhod kar
pahron hamaara aap mein aana muhaal hai
koson nikal gaya dil-e-deewaana chhod kar
utra jo sheesha taaque se zaahid ka hai ye haal
karta hai raqs sajda-e-shukraana chhod kar
ye sumaa-o-riya toh nishaani hai kufr ki
zunnaar baandh subha-e-sad-daana chhod kar
rindaan-e-mai-kada bhi hain ai khizr muntazir
basti mein aaiye kabhi weeraana chhod kar
ehsaan sar pe laghzish-e-mastaana ka hua
ham do quadam na ja sake maikhaana chhod kar
waadi bahut muheeb hai beem-o-umeed ka
dekhenge sher par dil-e-deewaana chhod kar
ro ro ke kar rahi hai suraahi widaaa use
jaata hai door door jo paimaana chhod kar
tauba toh ki hai nazm bina hogi kis tarah
kyoon-kar jioge mashrab-e-rindaana chhod kar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.