abas hai naaz-e-istighna pe kal ki kya khabar kya ho
maaloom ye saamaan kya ho jaae sar kya ho
ye aah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho
na ho jab hi yaa-rab toh dil kya ho jigar kya ho
jahan insaan kho jaata ho khud phir us ki mahfil mein
rasaai kis tarah ho dakhl kyoonkar ho guzar kya ho
na poochhoonga main ye bhi jaam mein hai zahar yaa amrit
tumhare haath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho
murawwat se ho begaana wafa se door ho koson
ye sach hai naaznin ho khoobsurat ho magar kya ho
shagoofe dekh kar mutthi mein zar ko muskuraate hain
ki jab umr is quadar kotaah rakhte hain toh zar kya ho
raha karti hai ye hairat mujhe zuhad-e-riyaai par
khuda se jo nahi darta use bande ka dar kya ho
kaha main ne ki nazm-e-mubtala marta hai hasrat mein
kaha us ne agar mar jaae toh mera zarar kya ho
kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uf nahi karta
kaha is ki ijaazat hi nahi phir nauhaagar kya ho
kaha main ne ki de us ko ijaazat aah karne ki
kaha us ne bhadak uththe agar soz-e-jigar kya ho
kaha main ne ki aansoo aankh ka lekin nahi thamta
kaha aankhein koi talwon se mal daale agar kya ho
kaha main ne quadam bhar par hai wo soorat dikha aao
kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho
kaha main ne asar mutlaque nahi kya sang-dil hai tu
kaha jab dil ho patthar ka toh patthar par asar kya ho
kaha main ne jo mar jaae toh kya ho soch tu dil mein
kaha naa-aaquibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho
kaha main ne khabar bhi hai ki di jan us ne ghut ghat kar
kaha mar jaae chupke se toh phir mujh ko khabar kya ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.