aa gaya phir ramzan kya hoga
haae ai peer-e-mughan kya hoga
baagh-e-jannat mein saman kya hoga
tu nahi jab toh wahan kya hoga
khush wo hota hai mire naalon se
aur andaaz-e-fughan kya hoga
door ki hai saaman hain bade
itni mohlat hai kahan kya hoga
dekh lo rang-e-pareeda ko mire
jalega toh dhuan kya hoga
hoga bas ek nigah mein jo tamaam
wo b-hasrat nigran kya hoga
ham ne maana ki mila mulk-e-jahan
na rahe ham toh jahan kya hoga
mar ke jab khaak mein milna thahra
phir ye turbat ka nishan kya hoga
jis tarah dil hua tukde az-khud
chaak is tarah katan kya hoga
yaa tira zikr hai yaa naam tira
aur phir wird-e-zaban kya hoga
ishq se baaz na aana haidar
raaz hone de ayan kya hoga
Responses
No comments yet. Be the first to respond.