ye tasalli hai ki hain naashaad sab
main akela hi nahi barbaad sab
sab ki khaatir hain yahan sab ajanbi
aur kahne ko hain ghar aabaad sab
bhool ke sab ranjishein sab ek hain
main bataaoon sab ko hoga sab
sab ko daawa-e-wafa sab ko yaquin
is adaakaari mein hain ustaad sab
shahar ke haakim ka ye farmaan hai
quaid mein kahlaaenge aazaad sab
chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho
us ko kab fursat sune fariyaad sab
talkhiyan kaise na hoon ashaaar mein
ham pe jo guzri hamein hai sab
Responses
No comments yet. Be the first to respond.