ye duniyaa tum ko raas aae toh kahna
na sar patthar se takraae toh kahna
ye kaaghaz hain ye zewar hain peetal
samajh mein jab ye aa jaae toh kahna
bahut khush ho ki us ne kuchh kaha hai
na kah kar wo mukar jaae toh kahna
badal jaaoge tum sun ke mere
kabhi dil gham se ghabraae toh kahna
dhuan jo kuchh gharon se uth raha hai
na poore shahar par chhaae toh kahna
Responses
No comments yet. Be the first to respond.