wo zamaana guzar gaya kab ka
tha jo mar gaya kab ka
dhoondhata tha jo ik nai duniyaa
loot ke apne ghar gaya kab ka
wo jo laaya tha ham ko tak
paar akele utar gaya kab ka
us ka jo haal hai wahi jaane
apna toh zakhm bhar gaya kab ka
khawaab-dar-khawaab tha jo sheeraaza
ab kahan hai bikhar gaya kab ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.