shahar ke dukan-daaro kaarobaar-e-ulfat mein sood kya ziyan kya hai tum na jaan paaoge
ke daam kitne hain khawaab kitne mahange hain aur naqd-e-jan kya hai tum na jaan paaoge
koi kaise milta hai kaise khilta hai aankh kaise jhukti hai saans kaise rukti hai
kaise rah nikalti hai kaise baat chalti hai shauque ki zaban kya hai tum na jaan paaoge
wasl ka sukoon kya hai hijr ka junoon kya hai husn ka fusoon kya hai ishq ka daroon kya hai
tum mareez-e-daanaai maslahat ke shaidaai raah-e-gum-rahan kya hai tum na jaan paaoge
zakhm kaise phalte hain daagh kaise jalte hain dard kaise hota hai koi kaise rota hai
ashk kya hai naale kya dasht kya hai chhaale kya aah kya fughan kya hai tum na jaan paaoge
naa-muraad dil kaise subh-o-shaam karte hain kaise zinda rahte hain aur kaise marte hain
tum ko kab nazar aai gham-zadon ki tanhaai zeest be-aman kya hai tum na jaan paaoge
jaanta hoon main tum ko zauque-e-shaaeri bhi hai shakhsiyat sajaane mein ik ye maahri bhi hai
phir bhi harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyan kya hai tum na jaan paaoge
Responses
No comments yet. Be the first to respond.