sach ye hai be-kaar hamein hota hai
jo chaaha tha duniyaa mein kam hota hai
dhalta sooraj phaila jangal rasta gum
ham se poochho kaisa aalam hota hai
ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki
jab hota hai koi hamdam hota hai
zakhm toh ham ne in aankhon se dekhe hain
logon se sunte hain marham hota hai
ki shaakhon par ashaaar aa jaate hain
jab teri yaadon ka mausam hota hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.