nigal gae sab ki sab samundar zamin bachi ab kahin nahi hai
bachaate ham apni jaan jis mein wo kashti bhi ab kahin nahi hai
bahut dinon baad paai fursat toh main ne khud ko palat ke dekha
magar main pahchaanta tha jis ko wo aadmi ab kahin nahi hai
guzar gaya waqt pe likh kar na jaane kaisi ajeeb baatein
waraque palatta hoon main jo ke toh saadgi ab kahin nahi hai
wo aag barsi hai dophar mein ki saare manzar jhulas gae hain
yahan sawere jo taazgi thi wo taazgi ab kahin nahi hai
tum apne quasbon mein ja ke dekho wahan bhi ab shahar hi base hain
ki dhoondhate ho jo zindagi tum wo zindagi ab kahin nahi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.