mujh ko yaquin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin
jab mere bachpan ke din the mein pariyan rahti thin
ek ye din jab apnon ne bhi ham se naata tod liya
ek wo din jab ped ki shaakhein bojh hamaara sahti thin
ek ye din jab saari sadkein roothi roothi lagti hain
ek wo din jab aao khelein saari galiyan kahti thin
ek ye din jab jaagi raatein deewaaron ko takti hain
ek wo din jab shaamon ki bhi palkein bojhal rahti thin
ek ye din jab zehan mein saari ayyaari ki baatein hain
ek wo din jab mein bholi-bhaali baatein rahti thin
ek ye din jab laakhon gham aur kaal pada hai aansoo ka
ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thin
ek ye ghar jis ghar mein mera saaz-o-saaman rahta hai
ek wo ghar jis ghar mein meri boodhi naani rahti thin
Responses
No comments yet. Be the first to respond.