main kab se kitna hoon tanha tujhe pata bhi nahi
tira toh koi hai mira khuda bhi nahi
kabhi ye lagta hai ab khatm ho gaya sab kuchh
kabhi ye lagta hai ab tak toh kuchh hua bhi nahi
kabhi toh baat ki us ne kabhi raha khaamosh
kabhi toh hans ke mila aur kabhi mila bhi nahi
kabhi jo talkh-kalaami thi wo bhi khatm hui
kabhi gila tha hamein un se ab gila bhi nahi
wo cheekh ubhri badi goonji doob gai
har ek sunta tha lekin koi hila bhi nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.