kin lafzon mein itni kadwi itni kaseeli baat likhoon
sher ki main tahzeeb bana hoon yaa apne haalaat likhoon
nahi likkhoon kya main gham ko jashn likhoon kya maatam ko
jo dekhe hain main ne janaaze kya un ko baaraat likhoon
kaise likhoon main ke quisse kaise likhoon main phool ki baat
ret udaae garm hawa toh kaise main barsaat likhoon
kis kis ki aankhon mein dekhe main ne zahar bujhe khanjar
khud se bhi jo main ne chhupaae kaise wo sadmaat likhoon
takht ki khwaahish loot ki laalach kamzoron par zulm ka shauque
lekin un ka farmaana hai main in ko jazbaat likhoon
quatil bhi maqtool bhi donon naam khuda ka lete the
koi khuda hai toh wo kahan tha meri kya auquat likhoon
apni apni taareeki ko log ujaala kahte hain
taareeki ke naam likhoon toh quaumein firque zaat likhoon
jaane ye kaisa daur hai jis mein juraat bhi toh mushkil hai
din ho agar toh us ko likhoon din raat agar ho raat likhoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.