jism damaktaa, zulf ghaneree, rangin laba, aankhein jaadoo
sang-e-maramra, ooda baadla, surkh shafqa, hairan aahoo
bhikshu-daanee, pyaasa paanee, saagra, jal gaagar
gulshan , koyal kookoo, masti daaroo, main aur tu
baambi naagina, chhaaya aangana, ghungharoo chhan-chhana, aasha man
aankhein kaajla, parbat baadla, wo zulfein aur ye baazoo
raatein mahkee, saansein dahkee, nazrein bahkee, rut lahki
sapn salonaa, prem khilaunaa, phool bichhaunaa, wo pahloo
tum se dooree, ye majbooree, zakhm-e-kaaree, bedaaree,
tanha raaten, sapne quaten, khud se baaten, meri khoo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.