jeena mushkil hai ki aasaan zara dekh toh lo
log lagte hain pareshaan zara dekh toh lo
phir muqarrir koi sargarm sar-e-mimbar hai
kis ke hai quatl ka saamaan zara dekh toh lo
ye naya shahar toh hai khoob basaaya tum ne
kyoon puraana hua weeraan zara dekh toh lo
in charaaghon ke tale aise andhere kyoon hai
tum bhi rah jaaoge hairaan zara dekh toh lo
tum ye kahte ho ki main ghair hoon phir bhi shaayad
nikal aae koi pahchaan zara dekh toh lo
ye sataaish ki tamannaa ye sile ki parwaah
kahan laae hain ye zara dekh toh lo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.