ham ne dhoondein bhi toh dhoondein hain sahaare kaise
in saraabon pe koi umr guzaare kaise
haath ko haath nahi soojhe wo taareeki thi
aa gae haath mein kya jaane sitaare kaise
har taraf shor usi naam ka hai duniyaa mein
koi us ko jo pukaare toh pukaare kaise
bujha jitne the armaan sabhi khaak hue
raakh mein phir ye chamakte hain sharaare kaise
na toh dam leti hai tu aur na hawa thamti hai
zulf tiri koi sanwaare kaise
Responses
No comments yet. Be the first to respond.