abhi zameer mein thodi si jaan baaqui hai
abhi hamaara koi imtihaan baaqui hai
hamare ghar ko toh ujde hue zamaana hua
magar suna hai abhi wo makaan baaqui hai
hamaari un se jo thi guftugoo wo khatm hui
magar sukoot sa kuchh darmiyaan baaqui hai
hamare zehan ki basti mein aisi lagi
ki jo tha hua ik dukaan baaqui hai
wo zakhm bhar gaya arsa hua magar ab tak
zara sa dard zara sa nishaan baaqui hai
zara si baat jo phaili toh daastaan bani
wo baat khatm hui daastaan baaqui hai
ab aaya teer chalaane ka fan toh kya aaya
hamare haath mein khaali kamaan baaqui hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.