ye toh nahi tujh ko sanwaara hi na ho
kuchh na kuchh ham ne tira quarz utaara hi na ho
ko chhoo jaati hai yoon raat ki aawaaz kabhi
chaunk uthta hoon kahin tu ne pukaara hi na ho
kabhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakeer
sochta hoon tire aanchal ka kinaara hi na ho
zindagi ek khalish de ke na rah ja mujh ko
dard wo de jo kisi tarah gawaara hi na ho
sharm aati hai ki us shahar mein ham hain ki jahan
na mile bheek toh laakhon ka guzaara hi na ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.