tujh ko bhulaaya hai bahut din ham ne
waqt khwaabon mein ganwaaya hai bahut din ham ne
ab ye neki bhi hamein jurm aati hai
sab ke aibon ko chhupaaya hai bahut din ham ne
tum bhi is dil ko dukha lo toh koi baat nahi
apna dil aap dukhaaya hai bahut din ham ne
muddaton tark-e-tamannaa pe lahoo roya hai
ishq ka quarz chukaaya hai bahut din ham ne
kya pata ho bhi sake is ki talaafi ki nahi
shaayri tujh ko ganwaaya hai bahut din ham ne
Responses
No comments yet. Be the first to respond.