tumhare jashn ko jashn-e-farozan ham nahi kahte
lahoo ki garm boondon ko charaaghan ham nahi kahte
agar had se guzar jaae dawa toh ban nahi jaata
kisi bhi ko duniyaa ka darman ham nahi kahte
nazar ki intiha koi na ki intiha koi
kisi bhi husn ko husn-e-faraawan ham nahi kahte
kisi aashique ke shaane par bikhar jaae toh kya kahna
magar is zulf ko zulf-e-pareshan ham nahi kahte
na boo-e-gul mahakti hai na shaakh-e-gul lachakti hai
abhi apne gulistan ko gulistan ham nahi kahte
bahaaron se junoon ko har tarah nisbat sahi lekin
shaguft-e-gul ko aashique ka gareban ham nahi kahte
hazaaron saal beete hain hazaaron saal beetenge
badal jaaegi kal taqudeer-e-insan ham nahi kahte
Responses
No comments yet. Be the first to respond.