tum pe kya beet gai kuchh toh bataao yaaro
main koi ghair nahi hoon ki chhupaao yaaro
in andheron se nikalne ki koi karo
khoon-e- se koi mishaal hi jalaao yaaro
ek bhi khawaab na ho jin mein wo aankhein kya hain
ik na ik khawaab toh aankhon mein basaao yaaro
bojh duniyaa ka uthaaoonga akela kab tak
ho sake tum se toh kuchh haath bataao yaaro
zindagi yoon toh na baanhon mein chali aaegi
gham-e-dauran ke zara naaz uthaao yaaro
umr-bhar quatl hua hoon main tumhaari khaatir
aakhiri waqt toh sooli na chadhaao yaaro
aur kuchh der tumhein dekh ke ji loon thahro
meri baalin se abhi uth ke na jaao yaaro
Responses
No comments yet. Be the first to respond.