mujhe maaloom hai main saari duniyaa ki amaanat hoon
magar wo lamha jab main sirf apna ho sa jaata hoon
main tum se door rahta hoon toh mere saath rahti ho
tumhare paas aata hoon toh tanha ho sa jaata hoon
main chaahe sach hi boloon har tarah se apne baare mein
magar tum muskuraati ho toh jhoota ho sa jaata hoon
tire -rang honton se dahakti zindagi pi kar
main pyaasa aur pyaasa aur pyaasa ho sa jaata hoon
tujhe baanhon mein bhar lene ki khwaahish yoon ubharti hai
ki main apni mein aap ruswa ho sa jaata hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.