mai-kashi ab miri aadat ke siwa kuchh bhi nahi
ye bhi ik talkh haqueeqat ke siwa kuchh bhi nahi
fitna-e-aql ke jooya miri duniyaa se guzar
meri duniyaa mein mohabbat ke siwa kuchh bhi nahi
mein wo shorish-e-jazbaat kahan tere baghair
ek khaamosh quayaamat ke siwa kuchh bhi nahi
mujh ko khud apni jawaani ki quasam hai ki ye
ik jawaani ki sharaarat ke siwa kuchh bhi nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.