khud-b-khud mai hai ki sheeshe mein bhari aawe hai
kis bala ki tumhein jaadoo-nazri aawe hai
mein dar aawe hai har subh koi yaad aise
joon dabe-paanw naseem-e-sahri aawe hai
aur bhi zakhm hue jaate hain gahre ke
ham toh samjhe the tumhein chaaraagri aawe hai
ek quatra bhi lahoo jab na rahe seene mein
tab kahin ishq mein kuchh be-jigri aawe hai
chaak-e-daaman-o-gireban ke bhi aadaab hain kuchh
har diwaane ko kahan jaama-dari aawe hai
shajar-e-ishq toh maange hai lahoo ke aansoo
tab kahin ja ke koi shaakh hari aawe hai
tu kabhi raag kabhi rang kabhi khushboo hai
kaisi kaisi na tujhe ishwa-gari aawe hai
aap-apne ko bhulaana koi aasaan nahi
badi mushkil se miyan be-khabri aawe hai
ai mire shahar-e-nigaaran tira kya haal hua
chappe chappe pe mire aankh bhari aawe hai
saahibo husn ki pahchaan koi khel nahi
dil lahoo ho toh kahin deeda-wari aawe hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.